Friday, July 13, 2012

PARDESI!!


Pardes aye thay zindagi bananey,
socha tha kuch kamayengey, aur
apney watan meh kuch basayengi.
Kya maalum tha is paheli zindagi ka,
jo humein yahaan ka bandhi banagyi.
Uss dharti ko ab yahaan sey salaam krtey hain,
apney logon ko ab phone sey itulaa krtey hain.
Kya kurein fir bhi hum hai us key bundey,
aur is chahat sey jeetey haain,
key kubhi ayega woh din suhana,
jub hum jeeyengey apna bachpun purana!!
Lo aagya woh din suhaana!
Lo jeelo apna bachpan puraan!
Paisey kamaayey shauhrat kamayi
ab to nike puma or addidas paata hai mera bhai!
Kuch saalon meh yeh sub kumaa layey,
lekin us hulchul meh tum bahut kuch gwaa aaye;
Baapu ki urthi ko kandha na dey paye,
Maa key budhapey ka sahara na bun paye,
Haan! lekin ek noh aur do buchhey saath zaroor ley aayey!
Ab is chotey seh pind meh gandagi nazar aati hai
      lekin yahaan ka bitaya buchpan bhool aaye us pardes mein!
Yaad kar wo din jub yehi guliyon meh ghumaa krta tha!
Yaad kar wo raatein jub maa tujhey loriyaan sunati thi!
Arey jinhey tujhe paraya likhaya aur is kabil kiya
tumney unhey hi thukra diya
wah wah wah kyaa hasil kiya
woh paisay aur woh shauraht….
Nayi zindagi mubaaruk ho merey bhai!


No comments:

Post a Comment