Sunday, July 15, 2012

EK NANHI SI JAAN!!


Nau maheeney udeek ki hai is khushi ki.
Tabhi sey tyaari thee ek jashan ki,
socha tha naachein gein gayeingey,
aur apni khushiaan aap sub sang manaaeingey.
              Kisney socha tha hamaarey saath aisa hoga,              
key jashan ke juggah hum ik coffin sajhayeingey.
Hum sochtey thay ke kisi naye ka swaagut kaareingey
is aangun mein,
kyaa maalum tha key woh aaney sey pehley hi
humey alvidaa keh jayeingey!
Is maa key armaano ki kissey parwaah hai?
Sub apna laabh hi sochtey hain;
Kyi zimedaariaan sey durtey hain,
Aur kyi smaaj sey,
Koyi duhej key kaaran aisa kurta hai,
Aur koyi apney swaarth key!
Maayein apney aansu bahaati rhin,
lekin un pathar dillon ko furk naa pura!
Sochti hun key koyi apney hi khoon
key saath aisa kyun krey;
Kyaa maalum tha
unki bhi koyi muzbooriaan thi!
Betey ki aas ney unhey undha bunnaa diya,
Smaaj key taano ney itna draa diya,
Key unho ney apna khoon
 apney haathon hi tayaag diya! Yeh kaisa smaaj hai
Jahaan apney hi apno ko maardein,
Jahaan maayein aansu bhaati rhein,
Jahaan nunho ko zinda dufnaya jaye,
Jahaan ik maa ki kokh ko
Ik coffin banaya jaye!
Kisney diye hain aisey huk,
Kisney banaye aise riti rwaaz,
Kyun hota hai is smaaj mei aisa?
Kyun hai naari say itni nufrut?
Kyun cheentey hain insey jeeney ka huk?
Ik maa ki dil ki dua sunoo,
Uskey dard ko sumjho,
Aur apno ka khoon bahana band karo… band kro
Joh tumeh is duniya meh layi woh bhi ik naari thi
Woh bhi kisi maa ki ik beti thi
Kyun hota hai aisa in nunny si jaano key saath?
Kyun hota hai aisa in puriyon key saath?
Kuch socho, kuch seeko
Sumjho Inki aihmiyat ko,
Yehin hain raasta us nayi peerhi key liye,
Yehin hain laati is duniya mein humeh tumeh!
Ishi liye kehti hun kuch socho, kuch seekho
Aur fir sumjho inki aihmiet ko
Kyun ki yehin hai laati is duniya meh hummeh tummeh ..hummeh tumeeh…hummeh tumeh!!  

No comments:

Post a Comment