Apney
pariwaar kee ik lauti beti hun main!
Unki ek laado
raani hun main!
Bachpan
bitaya hai is aangan mein,
aur kaafi
hasi aur royi hun yahan.
Kaafi saal
beet gye is pyaarey seh mahuaul mein
bhool gyi thi
main,
key ik din
aisa bhi ayega
jab yeh sub
puraya ho jayega;
Maa ki
loriyaan,
Paapa ki
mastiyaan,
Bhayia saath
ladayi,
aur meri
pitayi!
Yeh sab
khushi key pal khushkismati sey milhen hain mujhey,
in yaadon ko
dil meh basakar leyjaoongi main
aur us naye
aangan meh
karoongi ik
nayi shuruwaat main!
Apni daadi
aur maa ki taraah ik uchi duniya basaungi main!
Nayee
paramprayein aure reeti rawaaz nibhaungi main!
Doosron ki
izzat aur summaan krungi mai,
unhey
shikayat ka mauka na milley yeh koshish karungi main!
Buchpan meh
jo apno ney sikhaya usey yaad rakh kar jiyungi mai
aur is nayey
aangan ko khushiyon seh bhardungi mai!
Yeh sub karney keh baad bus ek umeed rkhti hun mai
keh us aanagan meh bhar saku kuch mayikey waaley rang
jahan mujhey milley mera adar sammaan un sab key sung
bus yehi umeed rkhti hun main
bus yehi umeed rkhti hun main!!