Tuesday, July 17, 2012

EK BETI KI DAASTAN!!


Apney pariwaar kee ik lauti beti hun main!
Unki ek laado raani hun main!
Bachpan bitaya hai is aangan mein,
aur kaafi hasi aur royi hun yahan.
Kaafi saal beet gye is pyaarey seh mahuaul mein
bhool gyi thi main,
key ik din aisa bhi ayega
jab yeh sub puraya ho jayega;
Maa ki loriyaan,
Paapa ki mastiyaan,
Bhayia saath ladayi,
aur meri pitayi!
Yeh sab khushi key pal khushkismati sey milhen hain mujhey,
in yaadon ko dil meh basakar leyjaoongi main
aur us naye aangan meh
karoongi ik nayi shuruwaat main!
Apni daadi aur maa ki taraah ik uchi duniya basaungi main!
Nayee paramprayein aure reeti rawaaz nibhaungi main!
Doosron ki izzat aur summaan krungi mai,
unhey shikayat ka mauka na milley yeh koshish karungi main!
Buchpan meh jo apno ney sikhaya usey yaad rakh kar jiyungi mai
aur is nayey aangan ko khushiyon seh bhardungi mai!

Yeh sub karney keh baad bus ek umeed rkhti hun mai
keh us aanagan meh bhar saku kuch mayikey waaley rang
jahan mujhey milley mera adar sammaan un sab key sung
bus yehi umeed rkhti hun main
bus yehi umeed rkhti hun main!!